Saturday, 29 December 2012

Daamini tujhe salaam



ram chandra keh gaye siya se
aesa kalyug aayega..
insaaniyat ki hogi haar
haiwaniyat ka andhera chayega..

kalyug ke rakshasho ne aesa
bura kar diya haal..
ke mard zaat par hi
logo ko hone laga malaal..

teri izzat cheen ke bhi
chain na mila un haiwaano ko..
dar lagne laga hoga
insaano se ab shaitaano ko..

itna sab hone par bhi
khub ladi maut se tune ladai hai..
aaj tere jaane par
saare desh ki aankhen bhar aayi hai..

darindgi ki had nahi 
yeh kehta hai wo haadsa jo tere sang hua..
aesa bhi koi karsakta hai 
dekhkar har insaan bas dang hua..

is duniya me jo tune saha
nark ki saza bhi us se kam hai..
bachne na denge tere gunhagaro ko.
lete aaj hum yeh pran hai..

shanti aur chain mile teri aatma ko
khuda se yeh mang subha shaam karta hu..
aur tere jeene ke housle ko
main koti koti salaam karta hu..
daamini main tujhe koti koti salaam karta hu
Monish.bhatia

No comments:

Post a Comment